Wednesday, 29 July 2015

Kabhi Kabhi kuchh baatien humari yaado ke kamre ki itni khidki khol deti hain ki hum dang reh jaate hain. Bohaut khoobsoorat hoti hai ye duniya. Humari yaado ke chote chote tukde humari yaado mien humesha mehfooz rehte hain. 

Jitni khushiyaan ye yaadien deti hain, kabhi kabhi utna dukh bhi pohochati hain kyuki ye pata hota hai ki ab wo dubara lautke nahi ayengi. Aankh se kab ye yaadien behene lagien, humare hjaah mien thodi hi na hai.To kya karien? Bhula dien un yaado ko ya samet kar rakhien.

Behene dete hain un yaado ko jab tak man shaant na hojaaye. Lekin kab tak intezaar kar sakte hain? Waqt kisi ke liye nahi rukta. Guzarta waqt hai aur kharch hum hote hain. Aur isse pehle ki hum poore kharch hojayien, ya to un yaado ko dubara bana sakte hain aur agar nahi bana sakte to dubara apni yaado ke kamre mien fir se jee sakte hain. Samajh nahi ata kya karien kya na karien. Mujhe to unhe filhaal behene he dena hai. Behene he dena hai.





"Kitni baatein yaad aati hai Tasveerein si ban jaati hain Main kaise inhein bhooloon Dil ko kya samjhau" 
                                               

mile emoticon